Saturday, December 27, 2008

NAV - VARSH, MANGALMAY HO.


Nayea varsh ki naye subeh, ka hea abhinandan.
Naye - kiran ko shesh jhuka, hum kertea vandan.
Sabhi swasth hon, sabhi sukhi hon, easi aasha.
Ujiara pahunchea sudur, karea door nirasha.
Jeevan mea khushhali layea, ban nav - varsh savera.
Aandhkar ho dur, roshni rangea basera.
Bachhon ki muskan, banea har ghar ki shobha.
Hum ko yeh viswash, shanti hi mun ki aabha.

Einsan ka einsan mea, badhea bhai - chara.
Hum ko hea viswash, banea jan - jan ka nara.
Nai soch lean, sabko sang lean, hisseadari.
Sub hon bhagidar, sabhi ki jimmeadari.
Aatankvad bhe hareaga, ho jeet hamari.
Sabhi samashyaean hul hongi bari - bari.
Bhead nahi manav, manav mea, sabhi baraber.
Hum hi jimmeadar, bantea, rang, dharm, banaker.

Aa0 mil sab kerean prarthana, sabhi sukhi hon.
Sabka malik eak, naam beshak aaneak hon.
Dharti eak, Suraj hea eak, Eishvar bhi eak hea.
Phir kyon, aapas mea lud - marean, nahi yeh vivek hea.
Aao eak bar koshish ker, Swarg banean.
Aapni Dharti hi jannat hea, easea bachaean.
Mun mea hea viswash, karea pura yeh sapna.
Aapna, aapna chod, dusrea bhi hean aapna.
---o---