Wednesday, February 4, 2009

AA GAYA BASANT.


Lo, ab aa gaya Basant.
Riston ki mithas, liyea
bhool ker , gilea shikvea
Mausam ne le Angdai
jevan ko Jevan denea,
Lo ab aa gaya Basant.

Kaliyon ke pelea se mukh per
bikher ta Basanti - aabha
mahki, kaliyan, chehki Chedian.
Bhoron ka leaker Prem- sandesh,
Lo ab aa gaya Basant.

Pashu - pakshi sab lagea jhumnea,
Mitti ke sondhi mahak, sungh.
Dharti ne kiya shrangar, pehan peet paridhan.
Kan - kan mea jeevan ko jeenea
Lo ab aa gaya Basant.

Madhos hava ke jhonkon ne
Phulon, kalion mea rang bharea
Nai aas jagi, nai subheh huie
jab konpal, kalian muskai
keh uthea sabhee
Lo ab aa gaya Basant.

---o---

Monday, February 2, 2009

BASANT KI BAYAR


Sardi se thithre paudhon par
Murjhaye kaliyon ke kan mea
Dea gayee, Bhoron ka sandesh, Basant ki bayar.

Muddat kea bad rosni bhar gaye
Thandi band kothri mea, jab
Mehka gaye, Basant ki bayar.

Chehchahane lagi, Chidian bhe
Jhurmut, Ghoslon se nikel bahar
Basanti hava ne jo keha Ped se.

Sun liya dherea sea, Chideon ne
Phir kya , bat pheal gaye
Ped, Pahad,Nadi, Jangal mea chah gaye, Basant ki bayar.

Padhate hua bachhon ke kan mea
Kuchkeh gaye Ma, Sarasvati
Aur bhe talleen mun se lagea padhne.

Shayad safalta ka mul - mantra tha,
Ya, Ma ka, pyar bhara Aashirvad
Jo bhe ho, jan gayea, Aaye Basant ki bayar.
-- o --