PARYAVARAND PAR PRASHNA – CHINH
Prathvi par sabhi Jev – Jantuon ko, Prikriti ka Uphar.
ARBO varsh lage eis kram mean, Aaj ki yeh bahar
Hum – sab kitne Bhagyashali hean, Jevan jo Anmol mila.
Us par upkar hea DHARTI maa, Jevan – vikash bharpoor mila.
Suraj, Dharti, Jal, Hava aur Aakash, Panch-tantra, Sarshti-nirmand.
Prithvi hi anukul, Upyukt Jevan ke , mila vatavarand.
Eisiliyea hua Vikash, nirantar, kahan se kahan pahunch gaye hum.
Pechea choda sab Jevon ko, Budhi – Kaushal se nikle hum.
Yehan tak to sab thek hea, Chinta pechale kuch Dashkon se.
Khud he Mar Kulhadi, Aapne Paron par, Kai salon se.
Shor macha rehe, Hame Bachao, hame bachao, eis Sankat se.
Kya ham ne socha hea kabhi ? hum he jimmedar Arse se.
Bane rukavat hum hi, Andhadhundh Katai PADON ki.
Haryali ko cheen liya, Badottari, KANKRET – Jungal ki.
Pran – vayu Oxygen huye kam, Badhne lagi Carbon – di oxycide.
Hote hote badh gaye matra, Carbon – Mono – di – oxycide.
Jena he dushvar hua jab, hava pradushit, Jal pradushit.
Bemaria lagi badhane, aur phelne, Jan – Jevan, prabhavit.
Vikas ki gati tej hui, to Pardushan ne phelaya jal.
Paryavaran ho gaya prabhavit, marne lage Jeev – Jantu, behal.
Global – Warming ke chalete, ab Mausam lage badalne.
Sabse adhik prabhavit, Garib – Desh ve janta, lagi bharne.
Ab to Manav – Astitve he Khatare mea pad gaya hea.
Turant KADAM uthane honge, ab samay nahi reh gaya hea.
Paryavaran – Vinash he hean, Jalvayu – Parivartan ke karan.
Global – Warming, Ojon – pert mea CHED, bhe eiske karan.
Hamea Sudherna he hoga, aur UPAY, Paryavaran – Bahav.
Tabhi bachage bhavi – PEDHI, Bachav mea he Bachav.
Hum – Sab mil kar kare, Pryas, Jan – Andolan, Jagaye.
Mil-jul kar Karyakram chalaye, PED lagaye, ped lagaye.
Eak Vyakti, Eak Ped ka ho Lakshye, Dekh – bhal bhe Jaruri.
Sunishit ho sab ore Hariyali, Hara – Bhara Mahaul Jaruri.
Karne honge aur UPAY, Parivahan – Vyavastha mea Sudhar.
Dhuan – rahit, Ghar, Bazar, Sadak, Vatavaran bane Khushgavar.
Plastic – Upyog kum se kum, na Karen to Ati – Uttam.
Jal – Pardushan rokna hoga, Jal ki bachat hea Sarvottam.
Urja – Sanrakshan, Behtar Eistemal, Soche Samjhe, kare Vichar.
Aj ki Bachat Kal ki Sureksha, prachar Karen, SUVICHAR.
Sukhi – Pattiya Aadi, Jalane yogya chejon ko JALAYE nahi.
Javik – Khad banane heatu, mitti mea dabaye Sahi – Sahi.
Gair – Paramparagat URJA sorton, jaise Surya, Pavan aur Bayogas.
Khoje, kare Vikas, Din – Duna Rat – Chaguna apna Desh.
Jal – Pradushan Badi Samasya, Re – cycle bane Samadhan.
Varsha – Jal Sanrakshan, Badhava ve behtar Upyog par dhyan.
Dhavni – Prdushan bhe kum karna, bane hamari Prathimikta.
Sudhre Swasthya sabhi ka, tab he ein baton ki Sarthakta.
Eitna sab karne ke bad bhe, Sayam bane Hathiyar.
Vijye honge HUM avashyea, Pardushan – Mukt, Sukhi – SANSAR.
No comments:
Post a Comment