PEHLA KADAM . CHANDRAYAN - 1
Baies Aktubar, san do hajar aath, din Budhhvar.
Bharat ne racha eitihas, aatur jane ko Chanda ke dwar.
Satik nishane par the, Chandrayan-1 ki pehli udan.
Karodon Bhartiyon ki aasha, liye uth chala, Chandrayan.
Hajaron Bhartiy vyagyanikon, engineeron ke housale ki pariksha.
Din - rat jag ker, sapna sanjoya, safal ho hamari shiksha.
Bharat -maa ka ashirvad liye, ravana hua, Chandrayan - eak.
Phunchate hi Prathvi ki KEKSHA mea, nach uthea Bhartiy aneak.
Abhi tak bheje gayea, Chandrayono mea, Desh aneak.
Sabse sasta sabit hua, Bhartiy Chandrayan - eak.
Yan dwara lea gayea PAY- LOAD mea Bharat kea kul panch.
Baki chha hean videshon kea, vishvasniyata, Bharat ki janch.
Hea ne garve ki baat, Vyagyanik badhai ke hakdar.
Kafi aage badh gayea hean hum, soch rahe Desh barambar.
Pechea mud ker nahi dekhna, aagea kadam badhayengea.
Chandrayan - do, manav - sahit, Chandrama per pahuchayengea.
Eitna hi nahi, jimmedari, Chandrayan ko jo sonpi hea.
Abhi tak bheajea gayea, sabhi abhiyano se nirali hea.
Pehli bar Chandrma ka, pura neksha tyar karega.
Barf, Pani kea alava, HELIYAM - 3 ki khoj karega.
Aur bhe hongea prayog bahut se, Vyagyanik - gyan ka vistar.
Do - varsh ke karya - kal mea, Chandra - parikrama, hajaro bar.
Pehli bar Chandra - sateh per, jab TIRANGA lehrayega.
Har Bharat - vasi ke dil mea, Vinamra, Garve, bhar jayega.
O
No comments:
Post a Comment