Thursday, April 2, 2009

UJALA

Aaj ujala sehma sehma.
Mano Suryagrahan ho gehma.
Gundagardi, aur makkari.
Sare - aam, sab per hean bhari.
Chor, lutere nider ghumtea
Mano phirean ughai kertea
Janta trahi - trahi ker rahi.
Sashan - pulis, aankhean mund rahi.
Balatkar, aapharan ho rahea.
Chaltea - phirtea sadkon per.
Nyay ki kya aas karean?
Jab pulis he mangea suchna per.
Mehangai ka aalam yeh.
Jab, garib, besahara, vidhva Maa.
Majbur, dudhmuhi bachhi ko.
Beach rahi, kodion ke dam.
Dusrea bachhon ki jan bachane.
Bharat Ma hea tughea salam.
Sesh bacha kya? garib kea pas.
Sukhi kaya, saval puchti nigahea.
Chithdon se aadhea- dhakea bachhea.
Ukhadti sansean dhotea bujurg.
Bharat ka bhavishya aankhon mea.
Hajar sapne liyea Slamdog.......... .
... O ...

No comments: