Monday, February 2, 2009

BASANT KI BAYAR


Sardi se thithre paudhon par
Murjhaye kaliyon ke kan mea
Dea gayee, Bhoron ka sandesh, Basant ki bayar.

Muddat kea bad rosni bhar gaye
Thandi band kothri mea, jab
Mehka gaye, Basant ki bayar.

Chehchahane lagi, Chidian bhe
Jhurmut, Ghoslon se nikel bahar
Basanti hava ne jo keha Ped se.

Sun liya dherea sea, Chideon ne
Phir kya , bat pheal gaye
Ped, Pahad,Nadi, Jangal mea chah gaye, Basant ki bayar.

Padhate hua bachhon ke kan mea
Kuchkeh gaye Ma, Sarasvati
Aur bhe talleen mun se lagea padhne.

Shayad safalta ka mul - mantra tha,
Ya, Ma ka, pyar bhara Aashirvad
Jo bhe ho, jan gayea, Aaye Basant ki bayar.
-- o --

No comments: