Saturday, September 6, 2008

SAPNE

SAPNE



Sapno ki duniya bhe ajeeb,
Sapne, sapne hi hote hean.
Achea sapne, sunder sapne,
Aapne to Aapne hote hean.
Kabhe – kabhe sapne hamko,
Kahi door bahut le jate hean.
Vastivkta se alag hamea,
Duniya ki sair katatea hean.
Jahan bandhan se nirbadh bane,
Hum swachand vicherand karte hean.
Jo bate yahan asambhav hean,
Sapne mean such ho jati hean.
Kuch sapne such bhe hote hean,
Aiasa Vaigyanik kahete hean,
Neend khule sab chut gaya,
Yea sapne RULA bhe dete hean.



Sapne dekhna aache baat hea,
SAPNE dhekhne hi chahiyea.
Ankhon mea sapne leaker,
Bhavishya banana hi chahiyea.
GANDHI ji ne Sapna dekha,
BHARAT ko AJAD kiya.
Aapna sab – kuch VAR diya,
Pura Jevan AADARSH jiya.
GANDHI ji ke eis Sapne ne,
Soya BHARAT Jaga diya.
Gaon – gaon aur Shahar – shahar,
Jan – Jevan ko ghakghor diya.
Panv ukhad gaye us SATTA ke,
Jahan kabhe ANDHERA ne jiya.
Shat – shat naman us SAPNE ko,
Karodon ka Jorndodhar kiya.



Aur bhe kuch logon ne,
Himmat dikhai Sapne dekhane ki.
Haryana ki KALAPNA – chawla,
SAPNA dekha `sair` Sitaron ki.
Aur lagan se jut gaye usme,
`Antirkch hi seema`, lakshya kiya,
Aakhir KOSHISEN rung lai,
Ban Antirkch – Yatri hi dum liya.
Eise tarah hean nam kai,
Jo SAPNE dekhe aur such kiye.
RAJYAVARDHAN – Rathore aur ABHINAV – BINDRA,
BHARAT ko samman diye.
SUSHIL – Kumar ne Kushti mean, ve BIJENDRA ne,
Boxing mean Chamatkar kiya.
BEJING – Olympic mea PADAK lekar,
SAPNE ko sakar kiya.



Ab bari hea hum – sab ki, dekhen Sapne,
Aur unehe sakar keren.
Nahi SARAL hogi ye DAGAR par,
DUM HEA ? to swekar keren.
Hum mea hi hean BHEEM aur ARJUN,
Guru DRON ko naman karo.
Etihas Swam ko dohrata hea,
Lakshya, LONDUN – Olympic Yad karo.
Samay Aa gaya hea Ab kuch,
Soch – Samajh kar karne ka.
Tum mea bhe hean ve sare GUND,
Samay hea CHAMPION banne ka.
Tumenhe he lana hea Swarndim – Yug,
Eak bar phir HOCKEY ka.
Olympic mean Rastra – gan ki dhun gungey,
Khoya SAMMAN dilane ka.

- o -

No comments: