Monday, September 15, 2008

BIRTH – DAY WISH.



Solah, Sitamber ka din laye, Khushiyon ka ambar.
Bhagya uday hua Eis din Apna, EISHVAR ka abhar.
Pachees Baras pahale, Aadhi – Rat, vyakulta aur eintjar.
Barah baj kar char minute par, Vatavaran hua guljar.
Janam hua Deepak puttar ka, Mummi – Papa huea nihal.
Us kshan se eis kshan tak, DUA tum raho Khushal.
Hamne Aapna sab kuch paya, bas tum he ko paker.
Ab yahi echha, rahe Krapa, PRABHU ki chaya ban kar.


DEEPAK bete Janam – din ki Lakh Badhai, Shat – shat bar.
Bar – bar yah din Aaye, Khushian bante, Natmastak hon Barambar.
Umar ho lambi eitne, beshak bachi umar MERI lag jaye.
Khushian pao eitne, har pal, ANGAN bhe chota pad jaye.
EISHVAR ne hame veh sab dea diya, jiska ne tha hame Adhikar.
Aapna Jevan , ab tum – dono[ bhai] shes sabhe EISHVAR Aadhin.
Ab eichha hea eak yahi bas, Phulo – Phalo, rahe MUSKAN.
Hoga yeh Upkar PRABHU, yadi ho sweekar, Prarthana man.


Dunia mea sab bant jata hea, MAA ka Pyar nahi bant ta.
Yeh SUCH utna hi hea, jitna SURAJ chipta aur nikal ta.
Ve hote hean kismat wale, jinke MAA hoti hea.
Mammi – Papa, Bhai, bas har Subheh yahan hoti hea.
Hansi – Khunsi hon, sab mil – jul kar, kare Kamna.
Sab mil kar hi, Har MUSHKIL ka kare samna.
Aaj tumahre liye puneh, Dil se hea aye AWAJ.
Kamyab ho Jevan mea, bano Veer, Bahadur aur JABAJ.

No comments: