Wednesday, October 15, 2008

JEEVAN

Jeevan, jeeney ki kala hea, jo sabhi ko nahi aati.
Aapna - Jeevan, aapna dhang hea, baki batey aati - jati.
Koi kehta Maya - jal hea, jisme , phanste jate hean.
Kisi ne kaha, hea Janjal, jis mea ulagh reh jate hea.
Kisi ke liye Jeevan duvidha hea, Rah samagh na aaye.
Nahi - nahi, Jeevan Jeevan hea, gire vahi, jo Dagmagaye.

Kabhi - kabhi, Jeevan jeena hi bogh eak ban jata.
Kya kerna hea, kya nahi kerna, kuch samagh nahi aata.
Aise pal mea aaksar hum, Dishaheen, Dheryaheen, ho jate.
Kinkrayatvyavimudh - dasha, mea, aaksar ghatak kadam uthate.
Jeevan hea Anmol uphar, vyarth ease na gavana.
Rakh Dharya, shant - chitt se, samagh, kadam uthana.

Sukh -Dukh, Jeevan ke do pehlu, kabhi Khushi, kabhi gam.
sada sukhi na raha hea koi, Jeevan mea na gam hardam.Jab bhi dukh ho, ghabrai na, kere mukabala hanshkar.
Jeevan muskayega phir se, jab dukh bhagega dar kar.
Sukh - Dukh ki aankh-michoni mea ho viksit Jeevan.
Aasha ka sanchar kare, ho pulkit tan - man, madhuban.

Jeevan eak ladai hea, Jeet, Aachai ya Burai ki .
Kabhi - kabhi aisa lagta hea, Har ho gai Aachhai ki.
Lakin kshanbhangur hi hoga, yadi hum sajag, sachet rahe.
Antim Vjay Satya ki hogi, chahe jo halat rahe.
Jeevan - Path mea Sach ka sang, Vijay avasya dilayega.
Aaj nahi to kal yeh hoga, Dharya rang hi layega.

Yeh na socho Jeevan mea Har hea, ya Jeet hea
Yeh jid todo, munh na modo, Jeevan ki Reet hea.
Jeevan ke gehre bandhan mea, aksar uski Har hue.
Jo samjha mea Jeet gaya, sari koshish bekar gaye.
Ye kaisa nyaya hea Bandhan ka, bura laga par achha hea.
Jeevan jene ki prarnda mea, yeh kaisi saral Pariksha hea.

Kabhi - kabhi, Jeevan mea, aisa kshand bhi aata hea.
Nirndya lena kathin to hea, par lena hi padta hea.
Dharya - Pariksha, Karm - Pariksha tabhi safal hum honge.
Swaim - vivek par kare Bharosa, kabhi na vichlit honge.
Roj - roj ki kathinaeo se dar kar bhagna, kayarta hea.
Kare mukabala dat kar ran mea, Jeevan ki sarthakta hea.

Jeevan ke har roop mea hum ko, har hal mea muskarana hea.
Chalne ka naam hi Jeevan hea, har hal mea Kadam badhana hea.
Jab - jab jo muskil aayengi, unka hal bhi khojengey.
Samadhan ho har Mushkil ka, aage badhate jayengey.
Jeevan to Jeevanhea, eiska har roop sweekar hame.
Jesa bhi jo samne aaye, Jeevan jeene se Pyar hame.
---o---

No comments: