Sunday, October 26, 2008

AATANKVAD

Aatankvad ne aaj hame jgakjghor diya hea.
Bam - dhamake, jageh -jageh, Jan - jeevan saham gaya hea.
Bekasur logon ki hatya, yeh kahan ka nyay hea ?
Palak jgapahete bughea Jindgi, matam aur chitkar hea.
Jashan manate Aatankvadi, manavta ka khuni kheal.
Koi jageh bhee nahi surakshit, kanoon- vyavashtha puri pheal.
Uttar de Sarkar, mangti Janata apna huq hea.
Manav jeevan nahi surakshit, aashvashan kab tak hea ?

Aatankvad ka dharm ne koi, ne koi jaati hea.
Dahshat - gardi, khoon - kharaba, Mout bantni aati hea.
Manavta kea doshi hean ye, kayar chip ker var karea.
Hasil kuch bhe, kabhi ne hoga, chahe jo prachar karea.
Kyon ye log napharat mea aandhea, nirdoshon ka khoon bhahate
Masum Bachhea, bebus einsan, Kal - gal mea gum ho jate.
Babus sarkar, bebus hum sab, Mout ka tandav jari hea.
Har - bar kahani dohrate, jane kab, kiski bari hea?

Bahut ho chuka nahi sahenge, ab to kuch kerna hoga.
Aatankvad gambheer chunouti, mil mukabala kerna hoga.
Jati - dharm ki bat nahi hea, chahe jo hon jimmevar.
Sabak sikhana hoga unko, jo hean eiske Sutradhar.
Saja, jail ke aalava, Samajik bahishkar jaruri.
Sahnubhuti jo rakhate hea, badlav soch mea unhe jaruri.
Mutthi - bhar noujavan, jo bhatak gayea hea, sahi Rah lana hea jaruri.
Sabse jaruri, Bhai - chara, Sukh - dukh bante, PYAR JARURI.

---O---

No comments: