Wednesday, October 15, 2008

KATH KA SAMAJ

Manav ki vikas prikariya jari hea.
Chand par basne ki taiyari hea.
Prikriti ke kuch gudh rahesya, suljhaye hea.
Cujh jari,aur cujh suljhane ki bari hea.
Badalti jeevan - sheali ke kram mea.
Aage bade paydan par honge, eis bhram mea.
Nirentar koshise, sukh - suvidha badhea.
Peche mud ker dekhena na pade.
Par socha kya, koin chut gaya ?
Chale to sath thea, ne jane , yea kab ho gaya ?

Samaj ka bada hissa, peeche reh gaya hea.
Adhunikta ki aandhi daud mea, pichad gaya hea.
Sadiyo se soshit, tiraskrit, vanchit hea.
Kya yeh uski niyati, vanchit hea ?
Nahi, yeh samaj ka kalank hea, sharm hamari.
Hum sab hi jimmedar, sabhi ki bhagidari.
Sabhi ko sath chalenge lekar, sabhi baraber.
Sab ka sab par haq, hissedar baraber.
Sab ki khushhali mea hea, samaj bhalai.
Sarvangeend vikas sabhi ka hea sukhdai.

Aaj samaj ka vikas ho raha hea .
Ya patan? kehna mushkil hea.
Padosi, padosi ko nahi janta.
Bat hoti hea mobile par, nahi pahchanta.
Padosi - dharm to dur ki bat hea.
Maheno gujar jate hea, dekhe huea.
Lagta hea kal ke he bat hea.
jab hum mile thea Namaskar kiye huea.
Kath ka samaj nahi to kya kahu mea ?
Aur asha kerna bemani hea, aap ya mea.

Samaj mea savandanshelta kum ho rahi hea.
Matam hea yahan, pados mea parti chal rahi hea.
khoon se lath - path einsan, sadak par tadaph reha hea.
Sanse aatki hean, aas mea sayad koi aa reha hea.
Galti se kisi ne aspatal pahuncha bhe diya.
dundha, dekha, ne dakter, ne nurse, chaparsi dikhai diya.
Bola daktro ki hadtal hea, nurse andar hea.
Kuch der bad nurse aai, boli accident case hea.
Pulis ko bulao, ne doktar aaya, ne aaye laj.
Marij bechara tadaph ker mar gaya, vah,samaj.

Sabbandh kalankit ho rahe, kath ke samaj mea.
Dhan ka lalach, katl ki vajah, apno ki aad mea.
Kahen kalyugi bete ne, maa - bap ka katl kiya.
Kahen kalyugi beti ne, preme sang, sabko mar diya.
Kahen kalyugi bap ne, beti ka jeevan ujad diya.
Bhai - bhai ya bhai - bahan ka rista bhe tar - tar hua.
Kya ho gaya hea hame? stithi kyon yeh aai ?
Manav, danav ban gaya, kyon yeh noubat aai?
Yaksh - prashan, yeh aaj khada, sammukh, munh - bae.
Budhe - jeve he nahi, vichare sab, bin samay gavaie.

Aaj kya hum, eitne savadan - shunya, bhavna - shunyahea ?
Koi madad ke liye pukare, chillaye, hum anjan hea.
Kyon hum vastvikta ko andekha ker rahe hea ?
Gundoke hamale ke virodh ki himmat nahi juta rahe hea.
Anyay hote dekh ker bhe, kyon andekha kerte hea ?
Sadak par sare - aam, eijjat beaabru ho rahi hea.
Aur hum, jaise bepervah, gunge, behere bane hea.
Aakhir kab tak, kath ka samaj, hum bane hea ?
Kabhi ne kabhi to karni hogi, pahal kisi ko.
Kyon ne aaj mea hi, utar phenku, yea chola, yea kath ko.

Hamne dekha, suna, kabhi hum sansheel thea.
Aaj ne jane kyon , hum shayad bahak gayea thea.
Gair - dharm ka adar, kyon hum bhul gaye hean.
Aapne swarth mea, aapna dharm hi bhula bethea hean.
Nafrat nahi hea Hal, nafrat se badheagi duri.
Pyar kare Manav, manavse, nahi koi majburi.
Pahle bhe hamne hi DISHA dikhai Dunia ko.
Aaj hame hi kerna hoga, pesh udharan Dunia ko.
Hindu, Mushlim, Sikh, Esai, naya samaj banayenge.
Pyar bante, Sukh - Dukh mea, sab apna hath bantayenge.
---o---

No comments: