Tuesday, August 19, 2008

dynasour ka aant

DYNOSORE KA AANT


Prakreti ka yeh niyam atal hea, sab, nashvar hea.
Badele mausam, sab –kuch badele, samay badalta rehta hea.
Aaj hea kuch, jo kal nahi tha, kal hoga jo, aaj nahi
Jeevan-chakra nahi rukta hea, hum hea, honge bhee ya nahi.
Samay samay ki bat, samay sabse balshali.
Badla samay, milay mitti mea, thea, jo grauveshali.
Eak bar ki bat nahi, yeh bat aenoko bar hui.
Eitehas swayam ko dohrata hea, such sabit har bar hui.


Bat bahut prachen, SRASHTI ki shuruvat mea.
Gine- chune thea jev-jantu, vanespati bahutyat mea.
Sabhi jeev swachand, nirankush, jeevan-vyapan.
Apni – apni, chinta thee, dhundhea apnapan.
Sabhi dare, bhehbheet, kahi se khojen bhojan.
Bheren peat, kease bhee, kahi bhee, sab – kuch bhojan.
Jivo, jivasya bhojanam, ko sidhant banaya.
Taki bhare peat kuch, kuch, ka jeevan khaya.


Prakrati ka yeh chakra, jeevan – vikas tha.
Kisi eak ki MAUT dusere ka jeevan tha.
Luka – chipe ka khel, khelte thea jungal mea.
Kaun banega gras , kisi ka Bhukheapan mea.
Phir bhe huya, VIKAS-CHAKRA gati payee.
Bade jeev Dharti par aayea, choton ne sankhya badhai,.
Thea ab bhee bhehbheet vea, par jeevan-jot jagai.


Samay-chakra nea palta khaya, DYANOSORE-yug aaya.
Tha ab tak ka vishaltam – prandi, aadhipatya jamaya.
Dyanosore nirvirodh, nirankush, Prathvi kea RAJA thea.
Jahan bhe jate, tabahi machate, aatankit sab Prandi thea.
Bahut – samay tak chalayahi sab, tandav Dyanosore ka.
Aapas mea takrav badha, ban JHAGDA Dyanosore ka.
Kum – taketvar mare gaye, the sankhya lagi ghatene.
Kuch aur bhe thea karan, ab halat lage bigadne.


Samay badaleta raha, AKAL ne dera dala.
Na PANI na BANASPATI jisne jeevon ko pala.
Trahi, trahi , sab ore, mar rehe thea Prandi, bin- maut.
Jinda Prandi LASHON ko kha, bhaga rahe thea maut.
Dyanosore bhee shamil inme, BECHARE, Lachar.
Ped – Paodhe bhe khatm, jo ab tak, thea Jeevan – Aadhar.
Kuch VYGYANIK kaheten hean, kuch Ghatnayea bhe jimmedar.
Eis Prathvi par tabhi Bhyanak, VISPHOT hua barambar.


Charon taraf Dhuan aur LAVA, Jvalamukhiyon ne phealaya.
Din – dopehar hui RAT bhayanak, Andhkar tha chaya.
OXYGEN hui khatm, DHARA par, JEVAN shesh ne paya.
PRALYA hui Sampurnd, kuch nahi, bacha ne koi saya.
DYONOSORE vilupt huea, Prathvi ke, RAJA – RANI.
SAMAY – CHAKRA tha ghum gaya, bus, yahi, KAHANI.


थे- एंड.-----



No comments: