Tuesday, August 26, 2008

RAJNEETI AUR DHARMNIRPEKSHETA

RAJNEETI AUR DHARMNIRPEKHETA




Bharatvarsh prachin desh hea, vishva-vidit, vikhyat, dharohar.
Hamari sanskriti, ARYA-sanskriti, prachintam sabhyata ki bhor.
Itihas gavah, hamane sabhi dharmo, mato, samprdayo ko sharand di.
Ne sirph sarand di, balki di prachar, prasar ki ajadi
Hindustan hea janm-sthali, duniya ke kai Dharmo ki.
Sab swantra thea, sab swantra hea, ajadi Dharmo, Karmo ki.
Bharat hea vah Desh, jaha sab Dharmo ka ho adar- satkar.
Manavta ke poshak hum, Jiyo Aur Jene Do, kere prachar.


Hindu-Dharm pracheen hea itena, jitne pracheen Manavta.
Dharmikta jeevan ka aang hea, nea hi dikhava, nahi badhyata.
Hindu-Dharm ki vishalta, pramandikta, VED, PURAND, anadi.
Pradurbhav huva Dharmo ka, kehlaye, BOUDH, JAIN, SIKH aadi.
Dharm nahi hea keval yeh, Jevan – Jenea ki vastvikta.
Han, ab kuch swarthy, dhongi hean, badnam ker rahea Neatekta.
Kuch muthee bhar longo se, hamari mahanta kum nahi hoti.
Dharm mea vyapakta hea itne, jyon, jal, athah Samudra ki bhanti.


Rajneeti ki bat Karen, to sabhi Dalo ki apne bat.
Apne dhaple, Apna rag, Dharm ke nam par bichi bisat.
Aam-log pis rahea hean ismea, netao ki Chandi hea.
Sirph VOTE kea liyea Dharm, neatikita ki sabhi deevarea phandi hea.
Hindu ho ya Musalman ho, NEECH rahega phir bhe NEECH.
Sabse pahele MANAVTA hea, eis BHU – MANDAL kea beech.
Manavata hea nahi bapoti, kisi Dharm ya Shasak ki.
Bat nahi yeh sirph Aaj ki, YUG, Yugantar, Kalantar ki.


Jab – jab CHUNAV najdeek aaye, Netao ki ban aati hea.
Dharmikta ki aad mea, ban Hiteshi, Kaya – Palat ho jati hea.
Eak Dharm ki karea badai, ban sanrakshak, duje ka Apman kerea.
Apas mea ladaye, BUM- vispot karaye, Aag – jani sare – aam kerea.
Kya yahi hea DHARM – NIRPEKSHATA ? AERE ,O, jalim netao, yea band karo.
Apne swarth – sidhi ke liye, nirdosho ka khoon bahana band karo.
Socho jara, Kya yahi hea Paribhasha, DHARM-NIRPEKSHTA ki ?
Pahele sikho DHARM ki bhasha, paribhasha, MANAV – DHARM ki.


Koi majahab nahi sikhata, Aapas mea hum beaar karea.
Khoon kare nirdoshon ka vashipan mea, netao kea kam banea.
Unka kam hea hamea ladana, kisi tareh bhee aapna Ullu sidha kerana.
Unka kya? Vote milega neta jee ko. Hamea mileaga Ansu bahana.
Neta jee to bane minister, hum – tum bane kya ? keval darshak.
Eisiliyea to kehta hun mea, pyare Deshvasiyo nea bano darshak.
Samay aa gaya hea , ab hum khud ko jane, Soche – Samjhe, Pahchanea.
Benakab hon Neta – Gunde, bane hum – dard, such – dukh bante aur janea.


Jevan hea anmol sabhi ka, sabko huk hea JEENE ka.
Phir kyon hum ladea aapas mea, samay hea soch badelnea ka.
Dharm bhinn hon, vichar bhinn hon, phir bhee hamara nata hea.
Hum sab BHARATVASI hean, humea Dharm nibhana aata hea.
Mujhea tanik sandeh nahi, sab hean TAYAR sab hean HOSHIYAR.
Desh ke Dushman, legea bhagnea, unehe pata hea, ab nea chalega yea Hathiyar.
Jag gaya hea HINDUSTAN, Jag utha hea, Jai Javan – Jai Kisan.
BHARAT hum sab ki Jan ni hea, hum Bharat ki shan hea, Jai – HINDUSTAN.

- O -

No comments: