Tuesday, November 18, 2008

AARAM HARAM HEA


Aaj eak muddat ke bad, ajeeb se bat ho gaye.
Ghar se nikla tha akela, SWAYAM se mulakat ho gaye.
Eak lambe aerse ke bad, milea thea hum log.
Yad nahi shayad, kuch sal pehlea, sapna ya sanyog.
Socha tha retire hone ke bad, kuch sakun mileaga.
Ne kam ki jeldi, ne samay ki pabandi, aaram rahega.
Nisandeh, aaram to hea, par man ko nahi viram hea.
Suna, padha, Nehru jee nea keha tha, Aaram Haram Hea.

Ab samagh aaya, ketna galat tha mea us samay.
Aaram Haram Hea, theek keha hea, Anmol hea samay.
Samay rehte, tala gaya kam, kabhi pura nahi hota.
Eak bar samay nikel jane ke bad, pachtava hi rehta.
SWAYAMne mugh se keha, samay ko yun hi ne gavana.
Bat soleh aane such the, pehlea socho, kehan hea jana ?
Mene keha, yunhi jera, Sair ke liyea nikla hun.
Lakin vastav mea aaj, sachmuch Sair ke liyea nikla hun.

Ab samagh aaya, kyon, jaruri hea KAM.
Vyasteta Jindgi mea, bharti hea nayea Aayam.
Bharni hea jindgi mea, yadi Unchi udan.
Chote - chote kam, bharpur pryas, safalta ki jan.
Dair aayea, durust aayea, khalipan pehchana hea.
Kami raheagi na jeevan mea, Kam jo kertea jana hea.
Suraj chipta aur nikelta, yad hamea dilata hea.
Apnea hissea ka kam kero, roj hame samghata hea.
---o----

No comments: