Tuesday, November 25, 2008

NETA JEE KI DUVIDHA.


Chunavi mausam mea, neta jee ko chinta ho rahi bhari.
Kaise Janta ko apne auor karen, vipakshi pad rahe bhari.
Panch versh bad, eak bar phir, Janta ki yad aaye hea.
Eise liyea chinta kuch jyada, lakin majburi phir laye hea.
Jab tak Mantri thea, vatanukulit office aur kar.
Ab gali - gali mea Pad - yatra, jode hath, karen namaskar.
Dhul bhari thakan se pareashan, upar se, jeetne ka tanav.
Badha raha blad - prasser, par laga hea bhavishya par dav.

Janta ab samaghdar hea, ho gaye, sab janati hea.
Kisne kam kiya, kisne GHOTALA pehchanti hea.
Kise Dhokha diya aur kisne nahi, kam bolta hea.
Eise liyea Neta baglen jhankten hean, patrakar jab puchta hea.
Janta se kiyea gayea Vade, Neta jee ko yad nahi.
Lakin yeh Publik hea, janati hea, yeh bardast nahi.
Jab - jab Netaon ne, kiya Janta se vishvasghat.
Patak diya, Arsh se Pharsh par, Bailat - paper se aaghat.

Khudgargh Netaon, bahut dino tak nahi chaleaga, yeh khel.
Janta jagruk hea, dena hoga jabab ab, ya sab phel.
Tang aa chuki Janta, bhrastachari, aur nakara Netaon se.
Kab tak sahen ?aakhir sehne ki bhe HAD, punche, aap se.
Eise liyea ab Neta jee, chunav jeetne ki hea , yadi aas.
Dukh - dard samjho, Janta ke, yad karo, Vadon ka sarans.
Jeetna hea yadi chunav, to jeetna hogaJanta ka vishvas.
Seva - dharm nibhana hoga, yadi Janta ki seva ka hea pryas.
---

No comments: