Saturday, November 1, 2008

PRITHVI

Apni Prithvi, jo Sour - mandal ke Grahon mea se eak hea.
Manav - Sabhyata ka vikas hua hea yehan, mousam anek hea.
Eak lambi vikas - yatra , jo nirantar chalti rahi.
Givon mea apne ko dhane ki , privarti badhti rahi.
Hamare purvaj bhe thea Van - vasi, Ped, Pahad, Jangal mea thea ghar.
Bahu - bal par Budhi - bal pada bhari, anya janvaron ki tulna par.
Aag ke aavishkar ne bdli, jangal ki Dunia sari.
Aage nikal gaya Vikas - kram mea, Manav ka palda bhari.
Krishi ki shuruvat hui, Pahiye ke aavishkar ne de raftar.
Tab se ab tak nahi ruke hum, ja pahunche Chanda ke dwar.

Vikas aur eak dusre se aage nikelne ki hod ne, yeha pachunchaya.
Ab samay hea palat ker pechea dekhne ka, kya khoya, kya paya ?
Pad, Nadi, Pahad aur Jangal, jahan kabhi pale, badhea thea hum.
Pechea chut gayea hean, aaj Concret - jangalon se ghire hea hum.
Eitna hi nahi, Jal, Jamen, Hava ko eitna Pradushit ker diya hea.
Manav, - Sabhyata he nahi, sampurn Prandi - jagat ko khatra bana hea.
Aaj ki Dunia, jehrele hava mea, sans lene ko majbur hea.
Bahut se Prani,Pashu, Pakshi, valupt ho chuke, kuch nahi dur hea.
Socho, abhi samay thoda hea, Kaise, Kahan ho gaye bhul.
Bhul - sudhar ka aakhire mouka, Samadhan he sabka mul.

Prithvi hame bachane hogi, soch - samagh ker, kade prayas.
Ped lagaye jahan bhe sambhav, Hariyali ho aas - pas.
Plastic ka durupyog band ho, aabhi band hea bahut jaruri.
Pas - padous rakhea hum Saf, Safai - abhiyan hea sabse jaruri.
Rok lagani hi hogi ab, Vayu - pradushan, Dhavni - pradushan, kare upay.
Parivahen - vyvashtha, Kal - karkhano mea sudhar he bane upay.
Upayon se pehlea sayam jaruri, Paryavaran - bachav ho jimmedari.
Soch badalni hogi hamko, Prakriti - Prem bane bhagidari.
Sabhe Jev anmol dharohar, Vanaspati - Poudhea, punji hamari.
Tal - mel bethayen sabhe sung, SWARG bane yeh Dhara hamari.
---o---

No comments: