Tuesday, July 29, 2008

माय इंडिया- माय-काउंट्री

HAMARA--BHARAT





















HAMARA—BHARAT



Bharat mera desh, jise duniya ne kam pahechana hea
Bharat tha vah , desh, vishva mea ,jisko sabne mana hea.

Bharat ne janma diya ZERO ko, ankon ke bhasha sikhlai.
Vaigyanik-vad ka uday hua, khushali, PRAGTI , ban aai.
Pramandikta hea shastron mea,udaharand, eak se eak, bhare.
ASHOK –stambh, aur KUTUB- lat, matulargy kea hea shodh naye.

Chikitsa- shetra, tha nahi akshuta, AYURVEDA padyati apanai.
Sulghane mea lage sabhi , prakrit rahsyon ko jane.
Bharat ne pahal kar, jadi-buteya,jeevan- rakshak, SANJIVINI,batlai.
Ab bhi hea yae sakshya, dharohar,pramandikta, sidhh huea

Taron, ki bhasha , duniya ko, Bharat ne hi to sikhlai.
Brhamand, ke gudh, rahasya,path- parikrma, aur vishlesandhe.
ARYABHATTA, thea khagol shastri, kiye bahut ,thea anvanshande.
Taramandal, a kash- Ganga,ke karya, JYOTISH aur KHOGOL- VIGYAN, kahlayea.

Bharat ne manav manav ko , manavata ka uphar diya.
Manav- danav, sangharsh, pariksha, danavta ka sanghar kiya.
Eak ,nahi, hea aneka, udaharnde, KANSA, DURYODHAN aur RAVANDA
Jab, jab ,Adharma, badha dharti par, praket huye, PRABHU,kashet- nivaranda.

BHARAT, nam hea verono, ka , hea BHARAT-DESH, shahidon ka.
Yahan, har bachha hea, KHUDI-BOSH, har yuva BHAGAT SINGH,RAJGURU.
Har nari LAKSHMI-BAI hea, jab,desh pukare,shanty-samya,ya jung shuru.
GANDHI, SHUBHASH,TEGORE,TILAT, huye SHASHTRI, JAWAHAR, veer aenek.

GANDHI-JI, ka SATYA- AHINSA, sab deson ne saraha hea.
“haad- mans ka yah putla, kabhi , ais duniya mea janma tha.
Jisne, shashtra- viheen, aekale, shaktishali samrajya haraya tha.”
Mere nahi, AIANSTINE ke shabde the yea,jab katil nea GANDHI ko mara tha.

Veer JAWAHAR nea, duniya ko , PANCHSHEEL sindhanta diya.
HINDI-CHINI, BHAI- BHAI, phir bhi, cheen, nea visvashghat kiya.
PAKISTAN ki bat keren, kya?, jab sea pradurbhav huya
Teen bar to munhki khai, BANGLADESH avatar huya.

Aab hea atankvad sahara, aur nishana BHARAT hea.
Hum hea ,phir bhi sachhye dost aur padosi, ka pharj, nibhaya hea.
Yeh Bharat hee hea ,jisne, anyay,shosand,aur garib rastron ki aguai.
Global-warming,badhata prudusande, urja- sanrakshan,U N O mea hunkar lagai hea.

Leakin, ais sab ke bavjood, hum aaj bhi hea PICHDA-DESH.
Lene hogi jimmedari ,karana hoga, gahan- vichar, aakhir kyon? Hum PICHDA- DESH.
Purn-saksharta, Purn-vikas,mil-jul, kar hum Karen PRYAS.
Tera-Bharat, mera- Bharat, mut banto,HUM Bharat ki santan hea.

Hean dharm ,aneak, bhasha aneak, pahnava, jalvayu, mausam, aneak
Hum aek rastra hea dharm aek, hum BHARATVASI,Bharat dharm hamara hea.
Nahi, jhuke hea, nahi jhukange, shesh, kat do, shool chadha do,
BHARATVASI aek hea.aek hi rahenge, chahe jab, ajama lo.

Jai- bharat.

No comments: