Thursday, July 24, 2008

mera bharat mahan



mera desh mahan, jahan sansad menn netaon ki lagti boli.
kya pasgh aur kya vipasgh jab sabhi dalon ne apni takat toli.

cheer harand tha hua sansad ka din tha mangalwar
baies julai san do hajar aath, ithas par rahega bhar

sabhapati bane bhismpithamh, sansad.darshak -dhirgha bane gavah
yak karor rupon ke bandal, sabha-patal par thea pade baparvah.

manmohan thea duryodhan, jab satta-dharm ne raj -dharm ko bhulaya.
soniya- gandharine phale se hi tyar ankhon par pattibandh bulwaya.

amarsingh.ahamad patel sarekhe netaon ne dushasan ka rol nibhaya.
aur bhut thae ienka sathi .sab kugh kiya jo mun aaya.

hua desh stabdh dekh- sun samachar, seedha prasaran.
kya hea yahe, loktantra,gantantra, bharat, hum kiye dharan.

phir bhi hea hamen vishvas ,atmvishvas bhara khyab.
din badlenge, yug badlega, hum honge kamyab, hum honge kamyab.
jai bharat

No comments: