Saturday, July 26, 2008

JAB DESH PUKARE



MY COUNTRY – MY INDIA -04



JAB DESH PUKARE


Bharat ke noujavan, aai,Gandhi , subhash, tagore ki santan.
Jab desh pukare jagna hea , himmat kar aage badhana hea.

Bhrastachar ka jab, bolbala ho,sat –jan ka, munh kala ho
Netao mea mantri –pad ki saudebaji, dalalo ka bolbala ho.
Yas, apyas ke bat nahi, desh-dharm, ki bat nahi
Apni kursi , apna peet , netaon ki bat yahi,
Bharat ma ki laj bachane ,rah –dikhane, rah,- banane.
Jab desh pukare jagna hea , himmat kar aage badhana hea,

Ab garib ki roti par bhi , dhanvano ka tax laga.
Mudra-sphirti, belagam, becabu, sarpat daud laga.
Jeben bharti dhanvanon ki,vyapari,mantri,dalalo ki
Majduro ki thali, khali, bari aai phankho ki
Lakho berojgar ,besaharo, ki bhook mitane, rah, dikhane,
Jab desh pukare, jagna hea, himmat kar aage badhana hea.

Nyah-vyastha ka, kya kahna, loot-pat ka raj hea.
Din, dophar, bazaar, sadak, par, katle-aam, roz, hea,
Truck, bus too mashoor thea ,pahale,aeb, maut, banteti baike hea,
Pulis huhi nakam,nirdye, vyastha, me, cghed,bane, jan-jale hea.
Jan –jan, men,visvash jagane, rah, banane, rah, dikhane,
Jab desh pukare jagna hea, himmat, kar aage, badhana, hea.

Mantri-pad, ki shapath lea rahe, daku, katil aur vyabhichari,
Desh- bhala, kyase ho?, jab mantri dagi , pulis dagi, bechara, karmchari.
Chunav lad rahe jelon sea,daku shatir, shasan kea sanrakshan mea
Behtari ki bat kya khak Karen? Jab mantri-pad ho sharton mea.
Jeevan –shuchita, swach prasashan, alakh jagane, rah dikhane,
Jab desh pukare jagna hea, himmat kar aage, badhana hea.

Jai- bharat.ndia. - 04

No comments: